Waqt ke benoor se lamhon ka, sarmaya hoon main,
Daman mein bas jaoon toh daagh ban jaoon main
Na aankh se chalkoon, na kabhi hothon pey basoon,
Itni qurbat nahee
Ek kaanta hoon, kisi phool ka, todo toh chubh jaoon main,
Charagh na sahi, koi ujala nahee,
Kisi kaali andheri raat ka andhera hoon main
Pyaas lagey toh peena mujhey, dard bhara jam hoon main
Sharmindagi agar mehsoos ho, toh samajhna aas paas hoon main
Koi aur nahee hoon, naahee kuch aur
Tumhara humsaya hoon main
Tumharey dil mein basa, nainon mein chupa,
Bebas pyaar hoon main

4 comments:
Kya baat hai ... achcha kaha hai! Dil ko lagta hai!
bah bah!!! heavy likhecho! :)))))
amaro kaje lege jaabe :P
Dear Surojit,
I thank you for your kind inquiry. I will try and do my best to keep my blog updated. At the same time, aap bhi to kuch irshad farmayye, bhai jaan!
Regards,
Azam Khan
Kya baate hai.. Very well written.. Love the ending too
Post a Comment